Today Hindi Tech

Technology ki jaankari hindi me

  • Home
  • Mobile Review
  • Technology
  • Social Networking
  • How to
  • Contact Us
You are here: Home / Mobile Review / Xiaomi Redmi Y2 review in hindi | Redmi Y2 price, specification

Xiaomi Redmi Y2 review in hindi | Redmi Y2 price, specification

July 1, 2018 by Pramod Singh 6 Comments

Xiaomi Redmi Y2 review in hindi | Redmi Y2 price, specification : Hello dosto swagat hai apka hamari ek or new post par. aaj ki post me ham baat krenge Xiaomi Redmi Y2 ke bare me jo ki xiaomi ka new phone hai.

Xiaomi redmi y2 me kya hai khash nayi baat or kya hai iske specification aaj ham aapko ye sab bateyenge. Xiaomi Redmi Y2 review in hindi.

redmi y2 review

duniya me logo ko Selfie lena ka bahut sokh hota hai or wo ek achha Selfie camera wala phone ko lena pasand krte hai. Ab company bhi issi baat ko dekhkar ek se achha ek new phone banane me lagi hai achhe camera ke sath. Mi A1 ke sath sath oppo or samsung ne bhi aapne achhe camera wale phones ko launch kiye hai.

Xiaomi ne bahut se phone ke baad ek or phone Redmi Y2 ko ek naye hardware ke sath banaya hai. jo ki ek achhe bajat me best Selfie smartphone hoga.

to chaliye jaan lete hai Y2 ke specification ke bare me. Agar aap bi ye phone lene ki soch rhe ho to is post ko achhi se read kare taki aapko iske feature ke bare me pata chalega.

Redmi Y2 price:

Y2 phone ki kimat ki baat kare to ye phone aapko 3GB RAM +32GB storage wala RS.9999 me milta hai.

Xiaomi Redmi Y2 Review in hindi

Company ne iss bar Y2 me ek sath update rakha gya hai jo aapko phone ko hath me pakad ke mahsoos ho jayega.

 

Display

sabse phle baat krte hai iski display ke bare me. Redmi Y2 me apko milega 5.99 inch ki full HD Plus Resolution wali Aspect ratios 18:9 ke sath display. jiska Viewing angle kafi achha hai.

Camera

Camera ki baat kare to redmi ke har phone ki tarah is phone me bhi achhe camera diya hai. Y2 me bhi backside me dual camera diya hai jisme ek hai 12MP ka or dusra hai 5MP ka. Xiaomi ne Y2 me front par 16MP ka camera ek Selfie light ke sath diya huaa hai.

Hardware & software

Hardware ki baat kare to Xiaomi har samay achha hardware dena wala phone mana jata hai. Iss bar Redmi Y2 me Snapdragon 625 Octa-core processor 2 Gigahertz  ke sath diya gya hai. jo ek bahut achha hardware mana jata hai.

Redmi Y2 me aapko Android 8.0 Orio ka miui 9.5 OS milega.

Battery

Battery ki baat kare to aapko iss phone me 3080 mAh ki battery milti hai. jisko charge krne ke liye aapko milta hai 10 watt ka ek chargar. phone ki battery ki performance ki baat kare to ek achha result aapke samne aata hai. matlb ki agar aap phone ko normaly use krte ho jaise aap phone me call ya facebook, whatsapp ko hi kuch time ke liye use krte ho to aapko battery din bar achha performance degi.

Agar aap phone me game khelte ho to aapko battery thodi jaldi khatam hogi. battery aapko achhi performance nahi de payegi.

Storage

storage ki baat kare to aapko ye phone 2 Variants me milte hai hai. Ek hai 3GB RAM + 32GB storage or 4GB Ram + 64 GB storage ke sath milta hai. Aap phone ke memory badhne ke liye 256 GB tak ki SD card laga skte ho.

redmi y2

Redmi Y2 Specification

Y2 phone 5.99 inch full HD+ ke sath aaya hai. is phone me aapko bahut sari suvidhaye bhi milengi. Redmi Y2 dual sim wala phone hai. jisme wi-fi, bluetooth, GPS, 4G support bhi milega.

iss phone ke Right side me aapko power and volume ke button milenge jinko use krne me aasani hogi. phone me aapko 3.5  mm ka headphone jack mil jayega.  phone ke back side me camera ka setup diya huaa hai or ussi ke sath me ek Fingerprint sensor bhi diya hua hai.

 

to dosto kaise lagi ye post “Xiaomi Redmi Y2 review in hindi” comment me jarur batana.  Iss post ko apne dosto ko bhi share kare.

Also Read :

  • Xiaomi Mi A1 Review in hindi, price in india
  • Vivo V9 full review in hindi, विवो वी9 रिव्यु , 

Filed Under: Mobile Review Tagged With: mi phone, phone review in hindi, price in india, redmi y2 review in hindi, xiaomi redmi y2 review

Comments

  1. Rajeev Kumar says

    August 14, 2018 at 4:37 pm

    Badhiya post share ki hai sir Thanks

    Reply
    • Pramod Singh says

      August 24, 2018 at 12:51 am

      thank you

      Reply
  2. priyanka says

    December 1, 2018 at 12:30 am

    ye fon flipkart pr kitne me milega

    Reply
    • Pramod Singh says

      December 4, 2018 at 2:00 am

      aap flipkart me jake dekh skte ho ki is time iska kya price hai

      Reply
  3. Vicente Wurzbacher says

    December 1, 2018 at 4:31 pm

    thanks for sharing this information..have shared this link with others keep posting such information..

    Reply
    • Pramod Singh says

      December 4, 2018 at 1:59 am

      thank you

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Pramod

Pramod Singh

CEO & Founder

Today Hindi Tech

Recent Posts

  • Oppo Find X review in hindi, Specifications, price
  • Whatsapp Kya hai ? Whatsapp kaise use karte hai
  • Xiaomi Redmi Y2 review in hindi | Redmi Y2 price, specification
  • Samsung Galaxy J6 review in hindi, specification, price
  • Android kya hai? android ki puri jaankari hindi me

Categories

Copyright © 2021 · Magazine Pro Theme on