Xiaomi Redmi Y2 review in hindi | Redmi Y2 price, specification : Hello dosto swagat hai apka hamari ek or new post par. aaj ki post me ham baat krenge Xiaomi Redmi Y2 ke bare me jo ki xiaomi ka new phone hai.
Xiaomi redmi y2 me kya hai khash nayi baat or kya hai iske specification aaj ham aapko ye sab bateyenge. Xiaomi Redmi Y2 review in hindi.
duniya me logo ko Selfie lena ka bahut sokh hota hai or wo ek achha Selfie camera wala phone ko lena pasand krte hai. Ab company bhi issi baat ko dekhkar ek se achha ek new phone banane me lagi hai achhe camera ke sath. Mi A1 ke sath sath oppo or samsung ne bhi aapne achhe camera wale phones ko launch kiye hai.
Xiaomi ne bahut se phone ke baad ek or phone Redmi Y2 ko ek naye hardware ke sath banaya hai. jo ki ek achhe bajat me best Selfie smartphone hoga.
to chaliye jaan lete hai Y2 ke specification ke bare me. Agar aap bi ye phone lene ki soch rhe ho to is post ko achhi se read kare taki aapko iske feature ke bare me pata chalega.
Redmi Y2 price:
Y2 phone ki kimat ki baat kare to ye phone aapko 3GB RAM +32GB storage wala RS.9999 me milta hai.
Xiaomi Redmi Y2 Review in hindi
Company ne iss bar Y2 me ek sath update rakha gya hai jo aapko phone ko hath me pakad ke mahsoos ho jayega.
Display
sabse phle baat krte hai iski display ke bare me. Redmi Y2 me apko milega 5.99 inch ki full HD Plus Resolution wali Aspect ratios 18:9 ke sath display. jiska Viewing angle kafi achha hai.
Camera
Camera ki baat kare to redmi ke har phone ki tarah is phone me bhi achhe camera diya hai. Y2 me bhi backside me dual camera diya hai jisme ek hai 12MP ka or dusra hai 5MP ka. Xiaomi ne Y2 me front par 16MP ka camera ek Selfie light ke sath diya huaa hai.
Hardware & software
Hardware ki baat kare to Xiaomi har samay achha hardware dena wala phone mana jata hai. Iss bar Redmi Y2 me Snapdragon 625 Octa-core processor 2 Gigahertz ke sath diya gya hai. jo ek bahut achha hardware mana jata hai.
Redmi Y2 me aapko Android 8.0 Orio ka miui 9.5 OS milega.
Battery
Battery ki baat kare to aapko iss phone me 3080 mAh ki battery milti hai. jisko charge krne ke liye aapko milta hai 10 watt ka ek chargar. phone ki battery ki performance ki baat kare to ek achha result aapke samne aata hai. matlb ki agar aap phone ko normaly use krte ho jaise aap phone me call ya facebook, whatsapp ko hi kuch time ke liye use krte ho to aapko battery din bar achha performance degi.
Agar aap phone me game khelte ho to aapko battery thodi jaldi khatam hogi. battery aapko achhi performance nahi de payegi.
Storage
storage ki baat kare to aapko ye phone 2 Variants me milte hai hai. Ek hai 3GB RAM + 32GB storage or 4GB Ram + 64 GB storage ke sath milta hai. Aap phone ke memory badhne ke liye 256 GB tak ki SD card laga skte ho.
Redmi Y2 Specification
Y2 phone 5.99 inch full HD+ ke sath aaya hai. is phone me aapko bahut sari suvidhaye bhi milengi. Redmi Y2 dual sim wala phone hai. jisme wi-fi, bluetooth, GPS, 4G support bhi milega.
iss phone ke Right side me aapko power and volume ke button milenge jinko use krne me aasani hogi. phone me aapko 3.5 mm ka headphone jack mil jayega. phone ke back side me camera ka setup diya huaa hai or ussi ke sath me ek Fingerprint sensor bhi diya hua hai.
to dosto kaise lagi ye post “Xiaomi Redmi Y2 review in hindi” comment me jarur batana. Iss post ko apne dosto ko bhi share kare.
Badhiya post share ki hai sir Thanks
thank you
ye fon flipkart pr kitne me milega
aap flipkart me jake dekh skte ho ki is time iska kya price hai
thanks for sharing this information..have shared this link with others keep posting such information..
thank you